Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah sistani 
Question aga sistani ke masle me aurat ko pura face cover karne ki jaroorat nahi hai to kya aurat color contact lence pahen sakti hai ? kya eyebrow ya eye shade karwa sakti hai ? agar na maheram attract ho to is surat me kya masla hai plz ans  
Answer 1-Aurat na-mehram merd k saamnay chehra or kalaiyo tak haath kholay rakh sakti hay. Laikin agar haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi merd ko(haath or chehra) dikhana haram main mubtila kerne k iraday se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2399) . 2-Cheray k baal saaf kerne or abroon ko sedha kerne se chehray ko zahir kerna mana nahi hojata hay,is shart k saath k haram kaam main mutibla nah ho or cheray ko zahir kerne ka maqsad bhi ye nah ho k os par na-mehram merd ki nazar perhay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masa,il, maslah#524). 3-Color lens agar zeenat main shumaar hota ho tu os ko na-mehram k saamne zahir kerna jaiz nahi hoga(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),jadeed fiqhi masa,il, maslah #532).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.