Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name tauba 
Question tauba kabul honeki nishani kya hai?kaise pata chalta hai ki hamari taubah kabul hui?kaise pata chalta hai ki hamare gunah maaf hua  
Answer (1) Aap kay liye zaroori hay kay Tauba karain.Khudawand-e-Alam nay Quran-e-Majeed main wada kiya hay kay agar insaan khud is kay khilaaf amal na karay to Tauba qubool ki jaey gee.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-53 ) (2) Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.