Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name NONE 
Question salam allah ka shukar hy mai namaz pharny lag gaya lakin jo mai ny (past) chori howe hy jesi ak din parhe dusry din nahe parhe ramzan mai parhe pir nahe par kiya wo sub par na lazmi hy agr lazmi hy tho mujy kesy yad aye ga ky mai ny ith ni namazy chori hy?aur ak surath ko kith ny bar dora sak thy ?aur dua-e-qonooth kon sy namza mai par jaye ? plz thora jaldi  
Answer 1) Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ). 2) kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain qaza ki hain,tu agar wo jitni namazo ka yaqeen ho k itni tu laazmi qaza hoe hongi, perhlay tu kaafi hay.maslan aik shaks ko ye tu yaqeen hay k oski 5 saal ki namazain tu qaza laazmi hongi,magar dimaagh main ye khiyaal bhi aaraha ho k shaayad is say ziyadah bhi hosakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1358,1364) ). 3) Tamam wajib or musthab namazo me dusari rakaat me ruku se pehle qunoot musthab he.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.