Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name AYAT ULLAH SISTANI 
Question salaam maira question yeh hai k ager ek baligh shaks ko ghusal e janabat ka pata nah ho aur woh apne namazon ko anjaam day lakin baad mei ussay is baat ka maloom ho tou kya pechlay saaloon ke sare namaz kaza kerne paray geh ya agay say ahteyat karay. aur jo rozay usnay ishalat mei rakhay hongay. ager wapis adda kerne hain yeh sare cheezain toh kiss terha count ke jae k kitnay saalon mei kitnay din ussay ghalat namazain perhe gain. thnx 
Answer (1) Chahay koe shaks jahil e qasir ho ya jahil e muqassir os per is sorat main apni saari namazo ki qaaza karni lazim hogi.(Mujtahid se pouche kye sawaalaat part 3# sawaal # 15) (2) Agar insaan nah jaanta ho k jo batain batae gae hain on main se baaz rozay ko batil kerti hain(maslan jaan boujh ker ghusl janabat nah karna ) or maslah jaan,ne k silsilay main os ne koe ko,taahi nah ki ho or nah hi kisi qisim k taraddud(shak) ka shikaar ho ya ye sher,e hujjat per aitemaad rakhta ho or khane, peene or jima k alawa in af,aal(yani jin chezo se roza toot jata hay) main se kisi kaam ko anjaam day tu oska roza batil nahi hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1625 ) (3) Agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: yani aap k rozay durust qaraar paen gay. Or on ki qaza lazim nahi hogi.laikin namazo ki qaza kerna lazim hogi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.