Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question Q.1 jo shakhas asy mujtahid ki taqleed karta ho jo tashud e namaz mein shahdat e salisa ki ajazat na deta ho usy agar asy peesh namaz k pechay namaz parhni pary jo shahdat e salisa ka qail ho aur namaz mein parhta ho tou asy namaziki namaz ka kia hukam hai? Q.2 jahalat ki kitni aqsam hain ? un ki tashreeh farma dain 
Answer 1- Agar mamoom(yani namaz e jamaat main shamil namazi) or imam e jama,at k dermiyaan namaz k ajza(parts) or shara,it main ijtehaad ya taqleed k wajah se ikhtelaaf ho jaay,or mamoom ko maloom ho k imam e jamat ki namaz batil hay(yani imam e jama,at k mujtahid k fatway main ye namaz batil ho), tu ye mamoom is imam e jama,at k peechay namaz mukammal nahi ker sakta.siwaay is sorat k , keh agar imam e jama,at ki namaz main koe aisi ghalati ho jo k jaahil e qasir{Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat/laa,ilmi ka uzr qaab e qobool ho} k liay maaf ho tu phir mamoom k liay jaiz hay k wo is imam e jama,at k peechay apni namaz ko mukammal karay.(Ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#1, Maslah#810). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2- Fiqh k lihaaz se Jaahalat ki 2 aqsaam ki gae hain (1) jaahil e qasir (2) jaahil e muqassir : Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat / laa, ilmi ka uzr(majbori) qaabil e qobool ho misaal k taur per kisi baa aitemaad(reliable) aalim se masla dariyaaft kare aur baad me maloom ho k on se maslah biyaan kerne main ghalat ho gae hay . 3- Jaahil e muqassir wo hota hai jis ki jahaalat ka uzr qaabil e qobool nah ho .(Ref. Jadeed fiqhi masa,il Ayatullah Sistani,pg # 71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.