Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question salam.namaz parhnay ki fazeelat us k awal waqt mein batai gai hai lakin mazhab e shia mein chihay jama,t k sath namaz ho ya furada ziada tar alaqon mein zohreen aur mughribeen akthi ada ki jati hain us mein pehlay wali namaz ka tou awal waqt hota hai lakin dosri ka ni ahga sistani k mutabiq kia is tarha baghir kisi uzar k namaz parhna theek hai k nai pls detail mein jawab dain 
Answer 1- Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 2- Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.