Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- 
Question aliunwaliallah namaz mein par sakte hain ?aur aima masoomein ka tasawar rakh kar namaz pari ja sakti hain? 
Answer 1)Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90). 2)Zarori he k faqat khuda ki baargah main apni pasti k izhaar k liay namaz perhi jay.Laihaza jo shaks riya yani logo ko dikhanay k liay namaz perhay tu oski namaz batil hay chahay ye namaz perhna faqat logo ko ya khuda or logo dono ko dikhanay k liay ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 933). 3)Mustahab hay k Al-Hamd or sorah perhtay waqt ayaat k matlab(meanings) ki taraf tawajjah rakhay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1004). 4)Namaz main khiyalaat or kisi ko (dil o dimaagh main)yaad kerne se namaz batil nahi hoti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1138,1144) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.