Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question 1 Quran main konsa siparah bismilah say shoro nahee hota hy? 2 Quran main konsi ayut main likha hy ky (Isa a/s) ko na qatul kiya gaya hy na hi aonko slayb (Croee) per churhayagaya hy? 3 Quran main kahan likha hy ky (Allah swt) na kisi ko pyadah kerty hain or na hi ksi say pydah howey hain? 4 kisi bhi janwer ko zibah kerty howy ayk musalman ko kiya perhna chahey?  
Answer (1) Sure tuba(Sorah#9) me bismillah nahi hay. (2) Quran main sorha e nisa(sorah#4) ki ayat #157 & 158 main is baat ka zikr maujood hay k Hazrat essa(a.s) zinda hain or in ko nah tu qatal kia gaya hay or nah hi koe phansi nahi di gae. (3) Quran main sorha e ikhlas(sorah#112) ki ayat #3 main is baat ka zikr maujood hay k nah tu os ki koe aaulaad hay or nah wo kisi ki aulaad hay. (4) Kisi jaanwer ko zibah karte waqt ya zibah se kuch pehle zibah karne ki niyat se zibah karne wala musalman khud Allah ka naam lay maslan Bismillah ya Allah o akbar kahe de tu kaafi hay. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2557). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) .  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.