Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name i dont know 
Question muj me bahaduri ki kami hai. kam mai koi bhi risk lena nahi chahta hu pleas dil aur dimag ki majbuti ke liye koi duwa batai 
Answer 1-Rasool(s.a.w.w) ka irshad hay k “ jo shaks sorah e deher ki baqaidgi se tilawat karay ga oska za,eef nafs qawi ho jay ga”. 2-sorah e hasher ki aakhri 4 ayaat main ism e aazam hy or in ki tilawat, iraday ki taqwiyat k liay bohot mujarrab hain. 3-hazrat imam Ali Riza(a.s) fermatay hain k “jo ziyada se ziyada “القہار(al-qahhaaro)” perhay ga wo apnay nafs per ghalib aa jay ga”(Ref: Dunya o Aakhirat k 100 pareshaniyo ka hal, pg#9). 4-IRaday ko qawi kerne k liay Zikr “اللہ الصمد(Allaahus Samad)” ko kasrat se perhna intehaae mufeed hay.( Ref: Dunya o Aakhirat k 100 pareshaniyo ka hal, pg#10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.