Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani sahab 
Question pehle ek baar sawal kia tha wazu ka reply nahi aya k dil o dimag main koi galat baat ajaye to kia waju tut jata hai email hi kar dien 
Answer Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab aur jo mashkooq ratubat peshab k baad aur istibra se phele nikalti he wo pheshab ka hakum rakte hai 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakaintu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.