Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name AyatoAllah Sistani (r.a) 
Question kia khandaan ki aisi shadian jahan mukammal tour pa mixed gathering ho, attend karna jaiz hai? ayaotalla sistani is baray main kia farmatay hain .. kia yea ahkaam mard or aurat k liay same hain? or plz farmaiye ga mixed gathering kin kin moqon par jaiz hai .. office main kaam karna jahan aurton sey interaction ho wo jaiz hai? universities main .. khandaan ki picnic jahan sab namehram bhi hon wahan janay k kia ahkaam hain .. baraye meherbani yea ahkaam mard or aurat dono k liay batayie gaa .. jazakAllah! 
Answer 1) Agar aap ko yaqeen ha ka app kise qism k ghuna me mubtila nahe hon ghi to aap k lye jaiz hai.(ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april) 2) (haram mixed gathering se muraad ye he k ) Aurate aur mard is tarh jama hoon k jis may hijab ka khayl nah rakha jay aur isi terh in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahi hay. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 152, pg # 67) 3) Office main kaam karna : agar shr’ei(islamic) parday ka khayaar rakha jay aur lazzat ka iraada ya Ghana me mubtela hone ka khoof na ho to koe haraj nahe hai. (Ref : nigah aur libaas ques # 97 pg # 65). 4)university me co.education: Agar gunnah aaloud nigahoo ka tabadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liye alag alag taleemi idaray bananay k liye mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libaas ques # 92 pg # 63). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.