Answer |
Health k lye :
Sehat o aafiat k lie dua hazrat sajjad a.s. say marwi hai. “ Allah humma inni as’aa’loo’kal aa’fi’ya’to wsh shukra alal aa’fi’ya’te ” (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 211)
Rizq k lye:
Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )
Qarz k lye :
Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga.
Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|