Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salam alaikum ramzan me rat ko biwi se sauhbat ki sehri ki. Subah 11pm gusl kiya to roza makror ho y jayga? 
Answer 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591,1630)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.