Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question DEAR SIR, AAP KI WEBSITE PER EK HADIS MAULA ALI A.S KI TARAF SE MANSOOB KI GAYE HAIN KE AACHYON MAIN TUMHARA KISI KI PERVI KERNA IS SE BEHTAR HAIN KE BURAYON MAIN KOI TUMHARI PERWI KARE IS KA MATLAB NEGATIVE NIKAL RAHA HAIN AGAR AAP KE LIKHNE MAIN MISTAKE HAIN TO ISE SAHI KARE AUR AGAR MERE SAMJHNE MAIN MISTAKE HAIN TO PLEASE MUJHE SAMJHA DEJIYE REGARDS ALI AKBAR  
Answer is hadees ki wazahat yeh hai ke buraiyoo mein agar koi hamari pairawi kar raha hai to is mein hamari kaamyabi nahi hai. balkay is se behtar hai ke achaiyoo mein hum kisi ki pairawi karain. yanay yeh behtar us cheez kay muqabilay mein hai ke loog hamari galat batoon mein hamaray peechay chalain. doosray alfaaz mein yeh hai ke achaiyoo mein tumhara kisi ki pairawi karna is se behtar hai. yeh kis se behtar hai? yeh is cheez se behtar hai ke buraiyoo mein koi tumhari pairawi karay. (shayad punctuation na honay ki waja se samajhnay mein problem hogai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.