Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Seestani 
Question Marhoom k rozon ki qaza kaisay ada ki ja sakti hai. 
Answer Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k silsilay main {tauzeehul masail main}maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683). Note : agar baap nai apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar os nai khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain. 2) Agar kisi nai miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.