Answer |
Riwayat hai k har islami mahinay ki pehli tareekh ko 2 rakat namaz parhay. Pehli rakat mai surah e al-hamd k baad 30 martaba surah e ikhlaas aur doosri rakat mai surah e al-hamd k baad 30 martaba surah e qadar parhain. Namaz k baad kuch sadqa dain aur wo dua parhain jo takeebaat e namaz mai darj hain. (ref : Takeebaat namaz pocket size pg # 15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |