Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqa-e-sistani 
Question Salam..mera sawal ye haii k mere jism se hameshaa mani khareej hote rehtee haii...is k liye mujhe per ghusal wajib hai ya nhi..? jab k mani k nikalne ka koi time nhi haii..or kabhi kabar mani kharij hone k bare mein pata nhi chalta k kis waqt kharij howee..to mujhe per is k liyee kiya huqam haii... 
Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.