Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Can u please give me detail about performing AQIQA? 
Answer Mustahib hai ke larkay ka aqiqa nar (male) janwar se kia jai,aur larki ka maada (female) janwar se kia jai. Aur wo janwar uyoob (faults) se saalim ho (means koi kharabi na ho) aur sehat-mand (mota taza) ho.Riwayat mein hai ke wo janwar Bakra ya Bakri ho aur us ka gosht (meat) us ke tamam jagho par charha huwa ho.Behtar yeh hai ke woh Bakra ya Bakri moti ho, aur (bacchay ke) baap ya baap ki taraf se jo rishtay-daar hain un ke liyay aqiqay ka gosht khana makrooh hai, aur ahwat yeh hai ke maa aqiqay ka gosht na khae.Aqiqay ke liyay bakri (goat) & gaae (cow) & qurbani ke janwar kafi hain, jabke maindha (sheep) jo 2 saal ka ho woh ziyada behtar hai. Mustahib hai ke hadyoo (bones) ko joroo (joints) se juda kia jai aur kaha gaya hai ke hadyoo ko taurna (break karna) makrooh hai. Mustahib hai ke is mein se chautah hissa (1/4) daai ko diya jai aur baqi muhtajoo mein taqseem kia jai, jabke ziyada behtar yeh hai ke is ko paka (cook) kar walima kiya jai, jis mein 10 ya 10 se ziyada afraad (10 or more than 10 persons) ka hona ziyada behtar hai. Jis tarha se namak (salt) aur pani (water) mein pakana ziyada behtar hai. Aur baaz logo ke darmiyan mashoor hai ke hadyoo ko sufaid (white) kapray mein lapait kar dafnana (burried) mustahib hai, lekin hamaray paas is baray mein koi daleel nahi hai. (Ref: A.Sistani, Minhaaj-us-saaliheen, masala no. 1384) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.