Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Was Prophet Mohammed s.a.w Shia or Sunni ?? Prove it please .. May God Bless You . 
Answer phelay to yeh samajhnay ki zaroorat hai keh shia kisay kaha jata hai? aur Rasool SAWW ne shia ka lafz istimaal kia ya nahi kia? aur phir Rasool SAWW ne shia ka lafz kyon istimaal kia? to shia kay urfi manay "Hazrat Ali AS. aur un ki aulaad kay perokar" kay hain. aur baqi raha yeh sawal keh Rasool SAWW ne lafz-e-shia ka istemaal kia ya nahi? to biradiraan-e-ehle-sunnat ke jayyad alim Maulana ubaidulllah amar tasari ne Hazrat Ali AS ki sawaneh-umri ("arjah-ul-matalib fi manaqib-e-asad-ul-allah algalib", pg no. 657-659, tib-e-qadeem, matbooa Lahore) mein Rasool SAWW ki woh bohat sari ahadees ikhatti likkhi hain jin mein Nabi-e-Kareem SAWW ne Hazrat Ali AS ke perokaron ko Shia ka laqab diya aur unhain jannat ki basharat di. For eg. Jabir bin abdullah se riwayat hai ke hum Rasool SAWW ke hozoor mein hazir thay ke Hazrat Ali AS tashreef lai. Rasool SAWW ne irshaad farmaya: qasam hai us zaat ki jis kay qabzay mein meri jaan hai, yeh (Ali AS) aur in kay Shia pas wohi qayamat kay rauz jannat kay rafii darjoo mein pochnay walay hain aur ussi halat mein yeh ayat nazil huwi ke "woh loog jo eeman lai aur naik kaam kartay hain, wohi loog sab khilqat se achhay hain". (Refrences: akhrajuhu ibn-e-asakir, pg no. 442.......alkhawarazimi, fasal no. 9, pg no. 62...........as-siyuti, fasal no. 17, pg no. 186..............fi dur-il-mansoor 6/379) (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 50) yeh sawal bhi bara eham hai keh Rasool SAWW ne yeh kyon farmaya ke Hazrat Ali AS aur un ke Shia hi aakhirat mein kaamyaab hongay? warna Rasool SAWW yeh bhi farma saktay thay keh qayamat ke din wohi loog kaamyaab hongay jo Quran ki taleemaat aur meri sunnat o tareeqay par chalaingay. is ki sidhi sadhi waja yehi nazar aati hai keh Rasool SAWW apnay baad is ummat mein honay wali "guroh-bandi" se aghaa thay. aur jis kay mutaliq Aap SAWW ne apni zindagi mein bhi yeh afsoosnaak khabar di thi keh meri ummat mein 73 firqay ban jaingay. Rasool SAWW yeh bhi jaantay thay keh is guroh-bandi ki soorat mein har gurauh ka daawa hoga keh woh hi Haq par hai aur unhi ka muaqqif (ideology) Quran & sunnat kay mutabiq hai. is liyay Rasool SAWW kay liyay yeh bhi zaroori tha keh Aap SAWW apnay baad us markaz (center) ki bhi nishandahi farma dain jis se milnay wala har hukum Quran & sunnat kay aain mutabiq ho. is liyay Rasool SAWW ne apnay baad Hazrat Ali AS ko apna Khalifa & Janasheen qarar diya. to hum me se kisi ne apnay liyay lafz-e-shia ka istemaal nahi kiya balkay yeh kaam to khud Rasool SAWW ne anjaam diya hai, aur is par khud Rasool SAWW razi hain. (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 53) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.