Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question continue jab us nay dua ki hon ya ALLAH meri qazaye namaz maaf farma . aur ab achi tarah namaz parhti hoon. 
Answer agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364 aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.