Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name janabat kay ghusal kay faraiz 
Question asalam.o.alikum mera ap sy sawal hai k ramzan mei agar mei biwi sy janabat karta hon aur ghusal nai karta bs wazu kar k roza rakh leta hon aur subha naha nai pata tau kia mera roza ho ga ya makroh ho ga plz answer me shukriya 
Answer Jo shakhs ramzan ki raat mai junub ho jae to zaroori hai k fajar k waqt sai pehlay ghusl karay. Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.