Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Asalam o alikum Mera sawal ye he ke agar kese se namaz qaza hojate he ya kese or kam me masroof ho ya soraha ho or namaz qaza hojaye to qaza namaz parhne ke bad os par koye azab he or agar qaza namaz bhe na parhe os par kya azab hoga? or qaza namazo ko thadad patha na hone ke sorat me kya keya jaye? agar ap muje jawab me koye hadess sharif bayan karna chahe to please ye bhe bata de ke wo hadess kesne bayan keya he! jazak allah 
Answer 1)Ada namaz ka tark karna kabeera ghunah mai shumar hota hai aur har wo kaam tark karna haram hai jo Allah ki taraf sai farz kia gya ho. Aur wo namaz jo kisi shakhs nay os k waqt par na parhi hoon un ki qaza wajib hai. Is lie qaza namaz ka chorna bhi ghunah e kabira mai shamil ho ga.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # abadaat masla # 29) 2)kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.