Answer |
1)Namaz ki niyat karay, niyat kartay waqt zaroori hai k muqtaddi(namaz e jamat main shamil namazi) imam ko moean karay lakin imam ka nam jan’na zaroori nahi hai aur agar ye niyat karay k mai mojooda imam ki iqtida karta ho to is ki namaz sahi hai.
2)Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay.
3)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi.
4)jo shakhs imam sai aik rakat pechay ho is k lie behtr ye hai k jab imam aakhri rakat ka tashahud parh raha ho to hathoon ki unglian(fingers) aur poun(leg) k talwoo ka agla hissa zameen par rakhay aur ghutnoo ko buland karay aur imam k salam parhnay tak intezar karay aur phir khara ho jae aur namaz ko mokummal karay.
(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1441-43, 1433). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|