Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Mera sawal yeh hai ke kiya jis tarah ladhko ko ahtlam hota hai aur un par ghusl wajib hojata hai is tarah ladhkion ko bhi hota hai or un per ghusl wajib hojata hai. Plzz mujhe puri tafseel bataen ke woh pani kis had tak hota hai kuin ke main bohat arse se is masle se pareshan hun jaldi jawab dijiye 
Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.