Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name istinja ki problem 
Question Assalam aleykum mera sawal ye hai ki jab koi istinja karke inkle or fir se usko lage ki uska peshab kharij ho raha hai ya wo kahi ja raha ho or usko libas na badal sake or usmai peshaab ke katre lag jaye to namaz jayez hogi.. 
Answer 1) Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab naali main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi hai. Pas agar kor ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab hay ya nahi tu wo ratubat paak hogi or is k wuzu or ghusl ko bhi batil nahi karay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69,74) 2)Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.