Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question main ye jana chahta ho k agr mai apni friend k sth bat kr rahat ho or as duran tnawo aa jae or madh behna shoro ho jae or hum dono roze ki halat mai ho tu kia roza makhro ho jae ga döno ka 
Answer 1) Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose itminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 2)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dobara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dobara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1575-6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.