Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani sahab 
Question mene gushl is tarah se kya ki pahele niyat karli aur uske bad sharmga ko dhoya us ke bad sir aur gardan ko dhoya bad me pure sharir ko do hisso me pele right aur phir left to mere gusl sahi he ya galat. Mera 2 sawal he ki gusl karte samay pimples se khoon nikle to gusl phirse karna parega ya nhi 
Answer 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Ghusl e Tartibi(sequence) ii) Ghusl e Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii) Ghusl e Irtimasi daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay. 2)Khoon niklnay sai ghusl batil nahi hota lakin osay paak karna zaroori hai. .(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.