Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aa salam u alakum mufti shahib mera swal ap se ye ha k kya main apny gher kam kerny wali aurt ko zakat k paso se eid k lye kapry ly ker dy skti hu.aur kya kisi ko zakat ki raqm daty waqt use ye btana zaruri hai k ye zakat hai ya nhi please jawab zarur dy 
Answer Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Jis sherhe faqeeer ko zakat de jaay is ko ya batana zarori nahi hai k ye zakat k maal hai. Balkeh agar faqeer zakat lene me khifat( sharam) mehsoos karta ho to mustahab hai k ise maal zakat ki niyat se diya jaay laikin is ka zakat hona is per zahir na kiya jaay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.