Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Syed Ali Sistani 
Question salam mera sawal ye hai ke wo umoor jin per aik islami ijtimaee islami nizaam mauqoof ho waha aik jamiush sharait mujtahid ho jo tama sharait per pora utarta ho aur un ko awam per umoomi toor per maqboliyat bhi hasil ho aur aik khas ilaqa us ke control main bhi ata ho to waha per jo wo ahkamat jare karen gay to kya wo ahkamat dunya main kisi bhi jaga rehne wale tamam logo aur dunya main kisi bhi jaga rehne wale tamam dosre mujtahid per bhi follow karna wajib ho jae ga ya sirf us khas ilaqe walo per ya us country ke awam per ( jo un ke control main atey ho ) un per manna wajib ho ga? shukriya  
Answer Wilayat e faqee bhi aik fiqhi masla hai aur is me bhi muqalid apne mujtahid ki janib he ruju karay ga. Ayatullah Syed Ali Sistani d.b. k nazdeed aik jamia sharait mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin per insaano ka ijtemaaye nizaam qaim hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 7 pg # 22) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.