Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam.baai sab.mera sawal ya hy kay.mare sas sahiba g. mary suher ko her time ulti patty parhaty hin. uur marha suher her rooz muj say larai karta hy. hamaree shadi ko abhi ik sal howa hy but shade kay 3 din say hamary darmiyan larai ho rahi hy, uur wo muj ko kharcha bhi nahin deety. main kam kar kay khud apna uur un ka kharcha poorha karty hoon. main nay kabhi apni saas sahiba ko jawab nahin deeya. but woo rooz rooz mary shuher kay kaan bharty hain. main bohat parshan hoon. main kiya karon. main bohat parshan hoo,islam main kiya hy kay uger shuher bevi kay hakook pory na kary to . bevi kiya kar sakty hay,kiya is ka nikha par asar parta hy. kay shuher boly kay main tomary kharchy kee zemadaree nahin leeta. serf apni khawai ko poorha karty hain. bus maree koi zeemadaree poree nahin karty mary susral waly. main apny bhai say leety hoo kharcha. ya main khud poorha karty hoon. main bohat parsha hoon. main kiya karon. help me please. please.uger susral waly asy hoon. uur suher kharcha poorha na kary to islami nazar main kiya hy. nikha par asar kiya parta hy. biwi shuher par halal rahty hy kiya, please jawab din. 
Answer 1-Shoar par wajib hai k wo apni bewi ki ghiza, libaas, rayha,ish, or zindagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam karey. Agar wo ye chezein ferhaam nah karey to chahay in chezoon k ferhaam karney par qudrat o taqat rakhta ho ya nah rakhta ho wo bewi ka maqrooz hay(yani bivi k ye akhrajaat os per qarz ki sorat main os k zimmay rahain gay) . Isi tarah aurat k hoqooq main se aik ye bhi hai k merd usey aziyat o azaar nah ponchaay or kisi shar,e (Isami) wajah k baghair us k sath sakhti or tursh roe(ghussay) se paish nah aay. 2-Jis aurat ka kharcha os k shohar k zimmey ho or shohar os ko kharch nah dey to wo apna kharch shohar ki ijazat k baghair os k maal se le sakhti hai . or agar nah lay sakti ho or majboor ho k apni ma,aash( zindagi guzararne k akhrajaat) ka khud bando bast karey or shikayat karney k liay hakim sharah(mujtahid) tak us ki pohanch nah ho takeh wo us k shohar ko kharch deney par majbor karey to jis waqat wo apni ma,aash ka bando bast karney main mashghool ho us waqat shohar ki ita,at us par wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376,2380 ).Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.