Answer |
Agar Junub shakhs ramzan me jaan boojh kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan boojh kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |