Answer |
5 waqt ki namazain Allah ne 27 rajab (shab e mayraaj) nabowat k 12wen saal main wajib keen or rasool (s.a.w.w) k madinay tashreef lanay k 1 mahinay baad namaz e yomiyah 17 rakatain qaraar paeen jo aaj tak jaari o saari hain, is se pehlay sirif maghrib ki namaz main 3 rakatin muqarrar then baaqi namazain 2, 2 rakatoon per tamaam hoti theen. (Ref: Tareekh e Islam mo,alif allama froogh kazmi, pg#298-99)
Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|