Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalaamalaikum, niyyat (or) dua ghusl-e-haiz ke liye? aur jo bhi niyyat (or) dua ho wo ghusl k waqt kab padhni chahiye. ghusl-e-haiz ka tariqa bhi detail me bataiye,plz. 
Answer 1-Zarori nahi k ghusl k waqt niyat karey k wajib ghusal kar raha hoon balkeh faqat qurbatan ilal,laah yani baargah ilaahi main frotani or aajizi k iradey se ghusl karey to kaafi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # #357 ) 2-Ghusl e haiz k waqt koe dua perhni wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 357) 3-Ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1:Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.