Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqa-e-sistano 
Question salam..meraa aaj ka sawal ye hi k...mere har saal k jo periods ki wajhaa se rooze chutt jatee hii un mein se mein 3-4 razon ki qazaa karte ho baqi k 2-3 roze jo almost 10 years se mein qazaa nhi kar payee. meujhe per kya huqam haii...kiya ye rozon ki qaza mein paison ki sooorat mein ada kar sakte hoon ..ya abhi mein un roozon ki qaza karoon..... 
Answer Haiz or nifaas ki wajah se jo rozay qaza ho jaatay hain on ki qaza karna zarori hai or ehtiyaat e mustahab ki bina par aglay ramzan se phely in rozo ki qaza ker li jaay. Or agar aglay ramzan se pehlay qaza nahi bja lae gae tu har rozay k badlay ¾ kg khana fidya e takheeri k taur per daina hoga. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla # 1045,1047) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.