Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Mera Q? ye h k meri ramzan k month me night shift h kam ki aj raat jb me sehri se ak ganta phle gr aya to me ate he so gya or pher zuher ki namaz k wqt utha to me ne sehri b nai ki to uthe he mene rozy ki niyat kr ki to is doraan kya mera roza jaiz h ya nai???or kya perfioums ya koi khusboo etc. lgane se roza toot jata h?????????? 
Answer 1-Jo shaks ramzan k rozay ki niyat kiay baghair azzan e subah se pehlay sojaay or agar zohar se pehlay(namaz e zuhar k awwal waqt se pehlay) baydaar hojaay or rozay ki niyat karay tu oska roza sahi hay or agar zuhar k baad baydaar ho tu zarori hai k ehtiyaat kartey hoay qurbat e mutlaqah ki niyat se baqi din khud ko roza batil karney wali chezon se bachaay or is din k rozey ki qaza bhi baja lay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1535) 2- Ramzan k poray mahinay k rozay ki niyat chand raat ko aik sath ki jasakti hay.or har raat ko niyat ko dohrana bhi laazmi nahi hay.or rozay niyat zaban ya dil se guzaarna zarori nahi hay balkeh ye irada kerna kaafi hay k khuda k hukum ki baja aawari or zillat k izhaar ki khatir roza rakhoon ga. ( ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #977) 3- Perfume or khushbo laganey ya soongnay se roza batil nahi hota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.