Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Baith k namaz ada krny ka full tareeka btayiye? 
Answer Jub tak insan khary hokar namaz parh sakta ho zarori hai k namaz mai na bethy maslan agr khra honay ki halat mai kisi ka badn harkat krta ho ya wo kisi cheez pr taik lagany ya badn ko terha krny par majbor ho tou zarori hai k jaise bhi hosakay khara ho kr namaz parhay lakin agr kisi bhi surat khara na ho skta ho tou zarori hai k seedha baith jae or beth kr namaz parhay or jo shaks alhmd aur surah k baad khara hoskta ho aur ruku kharay ho kr bja la sakta ho tou zarori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay tou zarori hai k ruku bhi beth kr bja laey aur ruku main es qadar jokhna zarori hai k us ka chera us k gutnon k bilmoqabil ja ponchy. Isi terah sajday mai chala jae. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #957,959, 1014 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.