Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah sistani 
Question Assalamu aalekum kya miya aur bivi ek sath mager fasle per namaz padh sakte hai.maslan tahajut 
Answer Ehtiyaat e lazim ki bina per merd o aurat ka aik sath baraber main kharhay ho ker namaz perhna sahi nahi ya aurat ka merd se agay kharhay hona bhi sahi nahi .balkeh lazim hay k aurat merd se kam se kam itna pechay kharhri ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main merd k dono guthno k baraber ho. Or ehtiyaat e mustahab ye hay k aurat k sajdagah merd k pechay os k kharhay honay ki jagha per ho.ya merd o aurat k demiyaan ko rukawat ho ya dono k dermiyaan 10 hath(460 cm / 4.50 meter) se ziyada faasla ho. Or is maslay main mehram or na-mehram ka koe farq nahi or shohar or bivi main bhi koe farq nahi, laikin ye hokum baligh afraad se makhsoos hay. Or ye faaslay ka hokum halat e ikhtiyaar se makhsoos hay. Or halat e majbori(iztiraar) main koe haraj nahi or isi terah makkah e mukarramah k hujoom main bhi koe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mainhaajus saliheen,part#1, maslah #545 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.