Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khumeni 
Question SALAM, Tayammum kernay ka sahi teriqa kya hey? aur khaak e shifa na honay ki sooret mein ye kin kin cheezon per kya jaa sekta hey? 
Answer B.T. (i) halate ikhteyar me tayammum ka tariqa ye he ke dono hatho ki hatheliyo ko ek sath zamin par mare aur phir dono hath ek sath peshani aur bhanwo par is tarah male ke bal ugane ki jageh se nak ki abteda aur peshani ki dono atraf ko shamel kare aur ahteyat wajib yeh he ke nak aur honto par bhi hath phere. phir ulte hath ki hatheli ki tarf se sidhe hath ki pusht ke sare zaheri hisso par kalai se le kar angliyo ke akher tak masah kare, phir sidhe hatho ki hatheli ki taraf se ulte hath ki pushat ke sare zaheri hisso par masah kare aur angliyo ka darmiyani hissa zaher me shamil nahi he (tahrirul wasila, tayammum ka tariqa masaala no. 1) (ii) mitti, paththar, bajari, dhela, chuna, pakne sy pahele chune ka paththar wagera par tayammum ho sakta he (tahrirul wasila, wo chizea jin par tayammum sahih he masala no.1) (tayammum ke liye khake shifa zaroori nahi he) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.