Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Q: If sajdigah is not available can we perform it on the back of palm? Besides leaves and wood on which materials is sajda correct(jaiz)? 
Answer 1. sijda zameen par aur un cheezon par karna zaroori hai jo khai (eat) aur pehni (wear) na jati ho aur zameen se ugti (grow karti) ho. for eg. lakri (stem) aur darkhton (trees) kay pattay (leaves) par sijda karay. aur jo cheezain zameen se ugti hain aur animals ki khuraak (food) hain, for eg. ghaas (grass) aur bhoosa, un par sijda karna sahi hai. 2. agar kisi kay paas aisi cheez na ho jis par sijda karna sahi hai, ya agar ho lekin shadeed sardi ya garmi ki waja se us par sijda nahi kar sakta ho to aisi surat mein tarkol aur zuft ko doosri cheezon par aulawiyat (priority) hasil hai. lekin agar in par sijda karna mumkin na ho to zaroori hai keh apnay libaas ya kisi aisi doosri cheez par keh jis par halat-e-ikhtiyar mein sijda jaiz nahi hota, sijda kar sakta hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, pg no. 171+172, masla no. 1063+1065+1071.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.