Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salaam. . I want to ask u. K agar hum extra nafal parta ha matlb jo kaha gae ha unsa b alaida to un k neyat ma kia kaha ga? Bqe namazo ma to hum kahta ha 4 farz isha. To es ma?or gusal ka tariqa bta da plz jwb da da plz 
Answer 1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. 2)Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. 3)Zaroori hai k insan shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 752, 930,932) 4)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Ghusl e Tartibi(sequence) ii) Ghusl e Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii) Ghusl e Irtimasi daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.