Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name biyaz se liya huwa quarz 
Question assalmalaikum maine xerox machine ke liye 2009 mai 20,000 quarz byaz se liya tha lekin uski muddal kum nahi huwi aur byaz badhta gaya takriban 20,000 per 50,000 huwe maine oh machine bech dali lekin uski kimat bhangar ke bhav me mili mai is byaz ke quarz se pareshan hu please aap se request hai aap duva me yaad kare aur iske liye wajifa bata de ki jald se jald byaz ka quarz utar jaye  
Answer Sood(bayaz) lena aur daina haram hai aur gunah-e-azeem hai,is liay faqat qarz ki asal raqam wapas kerna hi jaiz hay sood ki raqam daina jaiz nahi hay. Laikin ye mumkin hay k aap qarz or sood ki raqam ki miqdaar k baraber ya os se zaid raqam kisi doosri currency main ada ker dain. Maslan dollar main. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 473) masail maslah # 1, pg#434,435) Surah e talaq surah#65 ki ayat#2 and ayat#3 rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tou isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.