Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question me ne ek larki se zinna kia ab me agar us se shadi kerta hun to jo me ne zinna kia us ki saza milay gi mujhe ya nahi 
Answer Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat deay jatay hain. 1)Zina karna gunah e kabira hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). 2)Sachay dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba ) 3) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.Magar is sorat main keh wo aurat zina kaar mash,hoor hu tu ehtiyaat e wajib ki bina per is (aurat) k tauba kerne se pehlay os k saath shadi kerna jaiz nahi hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364).(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.