Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aytullah sistani 
Question salam ham jis mulk me rahte hayn yahan log musalman hay sunni shafayi kahte hayn apne aap ko magar kuch halat ayse hayn ke yahn log magribi adaton me dhale hayn subha nikah hota hay shamko talaq ho jati hay , bachon ko chod kar bap chala jata hay yani awlad ke bachpan me bap ne ma ko talaq de di awr dusri shadi kar li awr qat e tallouq kar liya awr kisi bhi mulk me rahne chala gaya ya isi mulk me raha magar koyi rabeta nahi yahan tak awlad badi ho jati hay awr awlad apne walid ko pahechanti bhi nahi hay galti mahol ki hay , magar saval mera ye hay ke aysi kisi ladki se agar koyi shia ladka agar aqde daem ya gayre daem karna bhi chahe to ya to walid ka pata nahi hota ya walid la tallouq hota hay ya kisi dusre mulk me hota hay ayse me wali ki ijazat wala masla jo hay us ka kya hukm hoga ? 
Answer Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. laikinh agar baap ya dada os merd k sath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat lena lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42) Note : agar larki ka baap kisi bhi musalman sai shadi ki ijazat na dai to aap k lie jaiz hai k os larki k sath kar shadi kar lain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.