Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question kia jalay hue kapron me namaz hu skty he mne suna hai k nhi hu skty plz ap mjy iska jwb de dn agr huskty hai tu thk hw n agar ni huskty tu detail me bata den k q ni huskty 
Answer 1)Namazi k libaas main 6 sharait ka hona zarori hay, in 6 sharait main ye koe shart nahi k namazi ka libaas jala hoa nah ho.Laihaza namaz main jala hoa libas perhenna jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 786) 2)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.