Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayotullah Seestani 
Question Aslam Alaikum, Main aik student hoon aur mUjhe parhae karne k liye kafi waqt darkar hota hai tau aksar owkat jab main parhai karta hoon aur main peeshab karne k liye nahin jata tau kuch time k baed aisa mehsoos hota hai jaise k kuch katre gir gae hoon aur mujhe pareshani hoti k aya bagair kisi kaifiyat k mujh par ghusul-e-Janabat tau Wajib Nahin hogay aur issi ulgan main meri nimaz kaza hojati hai. Kya agar main istinja kar tau iss sorat main mujhe kiya karna chiye Kya istinja karna kafi hoga? aur bar-e-Mehrbani Mujhe Istanja karne ka sahi tareeqa bhi mausool kar dijiye . Shukriya. 
Answer Agar kisi shaks k maqam-e-peshab say koe liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tu agar wo liquid shehwat k sath niklay,uchal ker niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tu wo mani hai laihaza wuzu toot jaega aur ghusl-e-janabat bhi kerna hoga,laikin agar ye alamaat nah hoon tu wo mani nahi hai,laihaza agar wo peshab hai tu wuzu toot jaega magar ghusl nahi kerna parega.is k alawa agr wo liquid jo kabhi kabhi shehwat ubharnay par merd k penis say nikalta hay, tu usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hay aur us say wuzu bhi nahi toot ta aur ghusl bhi nahi kerna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345). Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.