Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question hi salam,mera sawal yeh hai kay main ek larkay sy bht pyar kartay hain .or humray ghr walay shadi kay liyeh nae maan rahay hain. hai kiya hum 4 gahwa ki majodgeh main. ek dosary ko ager husband wife man leh tu kiya humra nikkah ho jahay ga yeh nae plzz answer me. 
Answer Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. laikinh agar baap ya dada os merd k sath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat lena lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42) Note : agar larki ka baap kisi bhi musalman sai shadi ki ijazat na dai to aap k lie jaiz hai k os larki k sath shadi kar lain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.