Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question asalam o allikum - talqleed kis tarha ki jati ha , kia sirf nyat kar lena kafi ha, ya is ka koi khas tareeqa ha. - agar hum kisi mujtahid ki taqleed karete han or taqleed change karna chate han to kia hum kar sakte han - ya nifas kia ha - agar janabat (mard orat dono) ya orat haiz or janabat ki halat ma kapre dhoye to sahi ha  
Answer 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) 4)Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498) 5)janabat ya haiz ki halat mai kapray dhona shi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354-5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.