Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani shab 
Question salam, 1)kiya namaze juma kay khutybhay kay doran koi mustahab namaz parhna jaiz hai. 2)karachi may juma namaz thu time per nahi hoti thu kiya may zoharain awal waqat parhna sahi ya phir juma 3)karachi may fajar ki jamat namaz awal waqat say half hour kay bad hoti hai thu kiya may farda awal waqat parhnay may ziada sawab hai ya phir jamat namaz may  
Answer 1)Namaz batil nhi ho gi albetta ehtiyat ki bina par donoo khutboo ka sunna wajib hai. 2)Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720) 3)Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jae to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklnay taq hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 729). 4)Mustahabb hai k insan sabr kray ta k namaz jamat k sath parhay aur namaz e ba-jamat os namaz sai behtr jo aw’wal waqt mai furada parhu jaeyani tenha parhi jae aur fazilat k waqt k baad parhi janay wali jamat ka, fazilat k waqt mai parhi janay wali furada sai behtr hona maloom nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1383)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.