Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name pls sir is ka answer serf mujy email ker 
Question Jab husban ek dafa talaq de dane tu kya 2 years bad apni wife k pass a sakta hai Or mera 2nd question hai k ager ek dafa talaq day de or us k 4month bad us ki girlfriend us ki wife se khey k us nay devorice paper tayer hai or mere pass hai tu kya talaq ho jati hai competley 
Answer 1)Talaq e bayan wo talaq hai jis k baad mard apni aurat ki taraf rajoo krnay ka haq nhi rakhta yani begair nikah k dobara isay apni biwi nhi bna sakta. Is k alawa aik talaq hai wo talaq e rajei hai jis ka matlab ye hai k jab tk aurat iddat ai ho shohar is sai rajoo kr sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2486) 2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.