Answer |
kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |